Sunday, 9 November 2014

Ek Din Zindagi Ka



EK DIN ZINDAGI KA

Ho gya savera , nayi shuruat ke sath..
Chali gayi shaam ek aur..
vo aayegi na vapas kabhi ..
vo suraj ki chamak bhi ek din ke liye thi..
vo din hoga na dobara kabhi..
vo phool ki adaa bhi ek din ki thi..
koyal ne bhi gaa liya us din ka raag..
bujhe gayi vo jali hui aag..

Mulakaten bhi ho gayi..
aawarapan bhi guzar gaya us din ka..
kisi ke liye yaadgar..
kisi ke liye bas suhana..
kisi ke liye ek lamba safar..
kisi ko mila bas ek pal ka sahara..
khil-khilaye the kuch to bohot..
bas aansuon ka sath tha kisi ke paas..





Aakhir  jaisa  bhi  rha , jo  bhi  rha..
vo  ek  aur  din  hamari  zindgi  ke  naam  rha..
salam  keh  ke  vida  kia  humne  use..
kyunki  hamari  nakami ,
aur  hamari  kamyabi  ka  ek  hissa  uske  bhi  naam  raha..

Chala  gaya  vo din kal  ka..
vo kal ki shaam bhi dhal gayi..
soch ke bhi man nahi bharta mera..
ki ek aur din guzar gaya meri zindagi ka..

Abhi to shayad shuru hi hui h..
aaj ka din bhi jeena h..
ho na ho kal ka din lekin..
is aaj ke din  ko  bhi  apna  banana h.. :)

Saturday, 25 October 2014

Soch Man ki

Har din ek tasveer si..
lage aankhon me chamakti hui..
mai jaanu ya na jaanu use..
koi pehchani si h lagti..
Jaise sapno se mere nikal k aayi ho..
bani ho ek hakikat..aur mai raha hairan sa..
Kahin gehrai me doob kar koshish karta hu ..
ki pehchan sakun iski asliyat..
par dhundali si parchayi ki tarah..
ojjhal hone lagti h aankhon se..
roshni ka koi vasta nahi is se..
door door tak na hai kahin aawaz ka rishta..
bas ek chalava sa lagta h iska dikhna..
jaise ek nayi duniya basne ka ho ishara..
koi aur dekh na saka ise kbhi..
sirf mai hi hu iski talaash..
shayad mujhse hi kuch kehna chahti ho..
ya karni ho mujhse koi baat..
logon ki bheed thi aas paas..
sab magan the apni khushiyon aur dukhon me..
us waqt isne pukara mujhe..
ki tumhari soch hu mai..
jitna samajhna chaha..
jitna mushkil samajha..
fir b khud samajh na saka mai..
par isne khud bataya mujhe..
sirf meri nahi ..har ek ki talaash h ise..
bas mere hi nahi , har kisi ke sapno se nikli h ye..
ye tasveer hai...har ek k man ki..
ab samajh gya hu mai..
haan ye to soch h mere man ki..