Saturday, 25 October 2014

Soch Man ki

Har din ek tasveer si..
lage aankhon me chamakti hui..
mai jaanu ya na jaanu use..
koi pehchani si h lagti..
Jaise sapno se mere nikal k aayi ho..
bani ho ek hakikat..aur mai raha hairan sa..
Kahin gehrai me doob kar koshish karta hu ..
ki pehchan sakun iski asliyat..
par dhundali si parchayi ki tarah..
ojjhal hone lagti h aankhon se..
roshni ka koi vasta nahi is se..
door door tak na hai kahin aawaz ka rishta..
bas ek chalava sa lagta h iska dikhna..
jaise ek nayi duniya basne ka ho ishara..
koi aur dekh na saka ise kbhi..
sirf mai hi hu iski talaash..
shayad mujhse hi kuch kehna chahti ho..
ya karni ho mujhse koi baat..
logon ki bheed thi aas paas..
sab magan the apni khushiyon aur dukhon me..
us waqt isne pukara mujhe..
ki tumhari soch hu mai..
jitna samajhna chaha..
jitna mushkil samajha..
fir b khud samajh na saka mai..
par isne khud bataya mujhe..
sirf meri nahi ..har ek ki talaash h ise..
bas mere hi nahi , har kisi ke sapno se nikli h ye..
ye tasveer hai...har ek k man ki..
ab samajh gya hu mai..
haan ye to soch h mere man ki..